___________________ SOCH MAT - BANDISH ___________________ Soch mat, chal key dekh ley Kal mein kya hai, aaj hi ji ley Aakhri kadam bhi ayega Pehla bhi tu ,chal key dekh ley Rishton ki dor, who bandhein naa tujhey Bankey kinara .sahara dein tujhey. Kho gaya , bhul ja Kshitij nahi hai duur Uth key dekh ley Wahi jageh Miley dharti –assman Wahi saman Khushiyan hongi tab wahan Nadi bhi kab ruki, pathar bhi tut-tey Jharnaa bhi gir key baney …. Aankhon mein baadal ayyen agar Halkey sey, Baresney dey, (Music interlude-flute) Sapnon ki khoj mein Uthta hai yeh jahan.. Usmey tu bhi ek hai … Aakhri manzil ayegi Pehli kadam to chal key dekh ley Soch mat, chal key dekh ley Kal mein kya hai, aaj……………… ji ley Nadi bhi kab ruki, Jharna bhi gir key hai bana …. Sagar mein bhi Boondein hai, Boondein key aansoo Sagar kya aansoo sey hia bana? Nahi dekha hai kal, to ji ley yeh pal, Kya pata, aakhri ho tera !!! Sapnon ki khoj mein, Hi uthta hai jahan… Usmey ek tubhi hai, wasta lay pyar ka, Sawalon ki is bhid mein, kucch haath hai,, Jo saath hai, jawab hai tera. Soch mat……………… Kal bhi do hai, pehchan ley use Jahan Jana hai tujhey!!!