________________________ BAAT HAI SAHI - BANDISH ________________________ gar aasman hai to chaand taarey hain tabhi gar hai yeh zameen toh ispey khelein hum sabhi yeh roshni bhi hai toh ,andhera bhi hai sahi zindagi hai toh maut hai, yeh baat hai sahi din hai toh raat hai,yeh baat hai sahi pyaar hai ,ishq hai toh, bewafaayee bhi sahi sochna hi hai yaaron bekaar mudh-mudh key aayegi naa yeh bahaar hansnein –hansaanein key din hai chaar phir kyun nahi baantein hum sab yeh pyaar rakhon yaaron dil jawaan rukey kabhi naa yeh samaan chota sa hain yeh jahan aaj yahan kal kahan kyun aanhein baandh ,kar key jiyen hum sabhi jo aaya is jahan mein,who toh jaa ki hi raahein aa jaye tsunami,isko kaun kya kahein jo bhi hain yeh kudrat , yeh kudrat bhi hai sahi jab nikley suraj subha toh who shaam ko dhaley jalti hai jo shamma ,toh parwana aa jaley hai yeh diwanapan to ,aashique bhi hai sahi sochna hi hai yaaron bekaar mudh-mudh key aayegi naa yeh bahaar hansnein –hansaanein key din hai chaar phir kyun nahi baantein hum sab yeh pyaar rakhon yaaron dil jawaan rukey kabhi naa yeh samaan chota sa hain yeh jahan aaj yahan kal kahan kyun aanhein baandh ,kar key jiyen hum sabhi……………